Zurich, Switzerland mein ek ajeebo gareeb case samne aaya jab ek 68 saal ki aurat ko uski padosan ne Court le jaakar khada kar diya – aur wajah thi ek billi!
Padosan ka kehna hai ke ye aunty pichle 10 mahine se uski pet cat Leo ko baar-baar khana khila rahi thi. Sirf itna hi nahi, usne apne ghar ke darwaze mein cat flap bhi lagwa diya taake Leo aaram se andar-bahar jaa sake. Result? Leo ne asli malik ke ghar jaana hi band kar diya!

Malik ne likhit taur par warn bhi kiya, par aunty ne manna to door, aur zyada hi mehman nawazi dikha di. Akhir mein owner ne criminal complaint file kar di. Public prosecutor ne aunty ko 800 Swiss francs ka fine (₹79,000) aur 3600 francs ka suspended fine (₹3.4 lakh) de diya for unlawful appropriation. Lekin aunty ne payment se inkaar kar diya – toh case gaya direct court!
Swiss law ke mutabiq, kabhi-kabhi kisi aur ki billi ko khana dena illegal nahi hai. Par agar aap roz-roz khilake billi ko hi le jaa rahe ho, toh phir usse “churana” maana ja sakta hai.

Court hearing closed doors ke peeche hui. Dono taraf ke lawyers ne milkar final agreement tay kiya – jisme akhirkar aunty ko billi rakhne ki ijazat mil gayi aur pichli owner ne apna case wapas le liya.
Source : Feeding neighbours cat
Aisi aur chatpati khabron keliye click kijiye – Hinglishy