πŸ”₯ Nano Banana AI 3D Figurines: Google Gemini Ka Naya Viral Trend Jo Internet Pe Chhaya Hua Hai .

Aaj kal social media pe ek naya AI trend Viral ho raha hai – aur iska naam hai Nano Banana AI 3D Figurines.

Ab aap apne ya kisi bhi celeb ya pet ke photo ko ek hyper-realistic 3D figurine mein convert kar sakte ho sirf bas ek photo aur ek prompt se. Aur sabse badi baat? Poora process free hai aur koi technical knowledge ki zarurat nahi hai!

πŸ§β€β™€οΈ Nano Banana AI 3D Figurines – Kya Hai Yeh Trend?

Is trend mein, Google Gemini ka use karke log apne 3D mini versions bana rahe hain – jise dekhke lagega ki kisi high-end collectible store se aya ho. Figurines acrylic base pe khade hote hain, background mein ek computer screen hoti hai jisme unka 3D modelling process dikh raha hota hai, aur side mein ek premium toy-style packaging box bhi hota hai.

Pure scene ko itna realistically render kiya jata hai ki lagta hai jaise kisi professional studio ne banaya ho – lekin yeh sab sirf AI se ho raha hai!

πŸ‘ Celebs Bhi Ban Chuke Hain Part Of This Trend

India mein yeh trend tezi se viral ho raha hai. Assam ke Chief Minister Himanta Biswa Sarma ne bhi apna Nano Banana AI figurine share kiya hai, aur bataya ki unke jawan followers ne unhe isme participate karne ke liye kaha. Clearly, Gen Z knows what’s cool!

πŸ“Έ Kaise Banaye Apna Nano Banana AI 3D Figurine?

Agar aap bhi apna custom AI figurine banana chahte ho, toh yeh simple steps follow karo:

Step 1: Open karo Google Gemini app (ya Google AI Studio).

Step 2: Upload karo koi bhi photo – aapki, kisi friend ki, ya even pet ki.

Step 3: Yeh prompt as-is copy paste karo:

“Create a 1/7 scale commercialised figurine of the characters in the picture, in a realistic style, in a real environment. The figurine is placed on a computer desk. The figurine has a round transparent acrylic base, with no text on the base. The content on the computer screen is a 3D modelling process of this figurine. Next to the computer screen is a toy packaging box, designed in a style reminiscent of high-quality collectible figures, printed with original artwork. The packaging features two-dimensional flat illustrations.”

Step 4: Click β€œGenerate” – aur kuch seconds mein aapke paas hoga aapka very own AI-powered figurine image.

πŸ” Kya Isme Koi Cost Hai?

Google ne confirm kiya hai ki Nano Banana AI 3D Figurines banane ka feature totally free hai – at least abhi ke liye. Image creation and editing dono hi Gemini app mein available hai bina kisi payment ke.

🀳 Kyu horha hai ye Trend Viral?

  • Koi technical skill ki zarurat nahi
  • Free and easy to use
  • Visually stunning results
  • Perfect for social media flex
  • Desi celebs bhi try kar rahe hain

Toh agar aap ab tak is trend ka hissa nahi bane ho, abhi try karo. Yeh AI ka maza bhi hai, aur thoda personal creative touch bhi.

Aisi hi Viral Trend ke baare me Jaan ne keliye : Hinglishy check karo .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top